Jodhaa Akbar: Jashn-E-Bahaara Song



Featuring:


View Lyrics

Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekhke hairan hai - (2)

Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein

Chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein
Sare sehmein nazare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Aur dil mein koyi khoyi si baten hain ooooo hooo

Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekhke hairan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein

Kaise kahen kya hai sitam
Sochte hai ab yeh hum
Koyi kaise kahen woh hai ya nahi humaare

Karte toh hai saath safar
Faasale hain phir bhi magar
Jaise milte nahi kisi dariya ke do kinaare

Paas hain phir bhi paas nahi
Humko yeh gum raas nahi
Seeshe ki ek diware hai jaise... darmiya
Sare sehmein nazare hain
Soye soye waqt ke dhaare hain
Aur dil mein koyi khoyi si baten hain ooooo…

Kehne ko jashn-e-bahaara hai
Ishq yeh dekhke hairan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koyi ranj fija ki chilman mein

Hum ne jo tha nagma suna
Dil ne tha usko chuna
Yeh dasataan humein vaqt ne kaise sunai

Hum jo agar hai gumgee
Woh bhi udhar khush to nahi
Mulakatomein hai jaise ghul si gai tanhai

Milke bhi hum milte nahi
Khilke bhi gul khilte nahi
Aankhon mein hai baharein dil mein... khiza
Sare sehmein nazare hain
Soye soye vaqt ke dhare hain
Aur dil mein koi khoye si baatein hain

oooo hoo

Kehne ko Jashan-e-bahara hai
Ishq yeh dekhke hairaan hai
Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein
Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein